Epsom Salt in Hindi: Swasth ke liye Faydemand Sendha Namak HRELATE.COM
Namak hamare sharir ke liye bahut hi aavashyak tatv hota hai Namak hamare sharir ke liye bahut hi aavashyak tatv hota hai. Namak sharir mai raktshodhak ke rup mai kaam karta hai aur hamare sharir ko kai prakar ke hanikarak jeevanuo se bachane mai bhi madad karta hai. Log apne bhojan mai iodine yukt namak ka prayog karte hai aur jab log upvas rakhte hai tab sendha namak ka prayog karte hai. Lekin kya aap jante hai ki iodine yukt namak se kahi jyada, sendha namak hamare swasth ke liye faydemand hota hai. Sendha namak ko pahadi namak kaha jata hai jo ki swasth ke liye bahut hi faydemand hota hai. Yaha padhiye Epsom Salt in Hindi. Sendha namak ke kai prakar ke swasth labh ke alava kai sondarya upyog bhi hai. Yeh namak chemical yogik aur magnesium sulfate se bana hota hai. Sharir mai magnesium ki kami se uchh raktchap, haddiyo ki kamjori, aur sardard jaisi samasya ho jati hai. Iske sath hi sulfate hamare mastishk ke uttako ke gathan aur sharir ke liye aavashyak poshak tatvo ko pradan karne mai madad karta hai. Sendha namak ke shuddha hone ke karan hi ise vrat mai upyog kiya jata hai. Iske sevan se sharir ko charm rog, fefade ke rog, netra rog, motapa, sharir mai jakdan aadi bimariyo se bachane mai madad milti hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye padhe epsom salt benefits. hrelate.com
Epsom Salt in Hindi: Swasthvardhak Guno Se Bharpur Hai Sendha Namak hrelate.com
Sharir Ko Tanav Se Mukt Rakhe Atyadhik kamkaj aur chinta ki wajeh se vyakti mai tanav rehna aam bat hai. Aese mai sendha namak bahut hi faydemand hota hai. Adhik tanav hone se sharir se magnesium ka nikas aur adrenaline ka star badhne lagta hai. Aese mai sendha namak mai upasthit magnesium ki matra hamare mud ko sahi karne wale serotonin chemical ko badhane mai madad karta hai. Iske alava sendha namak hame ghabrahat, chidchidapan, anidra ki pareshani se bhi nijad dilane mai madad karta hai. Sendha namak ke upyog ke liye nahane wale gungune pani mai sendha namak ko dal de. Fir iss pani se 20 minute tak nahaye. Aesa karne se vyakti ko sukun aur behtar neend aayegi. Atyadhik tanav hone par aesa saftah mai 3 bar kare aur tanav mukt jeevan ka aanad le. Maspeshiyo Ki Aethan Dur Kare Adhik workout ke bad maspeshiyo mai aethan aur dard hone lagta hai aese mai sendha namak dard ko thik karne mai sahayak hota hai. Sendha namak mai upasthit magnesium dard mai prabhavi tarike se kam kata hai aur sujan ko bhi dur karne mai madad karta hai. Iske alava maspeshiyo ko bhi tanavmukt rakhne mai yeh sahayak hai. hrelate.com
Iske upyog karne ke liye aap sendha namak mai thoda sa garam pani milakar gadha paste taiyar kare. Fir dard se rahat pane ke liye iss paste ko apne prabhavit shetra mai lagakar 15 se 20 minute tak rakhe. Iske alava sendha namak mile gungune pani se snan karne se bhi dard aur sujan mai aaram milta hai. Sunburn Se Bachaye Sendha namak hamari twacha ko surya ki kirno se bachane mai bhi madad karta hai. Isme upasthit anti-inflammatory gun hamari twacha par sunburn ki wajeh se hone wali khujali, jalan aur dard se nijad dilane mai madad karte hai. Iske alava yeh skin tone ko banaye rakhne mai bhi sahayak hote hai. Sunburn ki wajeh se hamare haath aur per ka sahi tarah se ilaj karne ke liye aap 1 cup pani mai 2 bade chammach sendha namak milakar mishran taiyar kare. Ab iss mishran ko ek sprey botel mai bharle. Iss sprey ki sahayata se ise prabhavit hisso par 10 minute tak lagaye. Aesa karnse se aapko sunburn se jaldi raahat milegi. Jaldi parinam ke liye ise aap hafte mai kai bar kar sakte hai. hrelate.com
Pachan Kriya Mai Sudhar Laye Aniymit aur galat khan-pan se hamara pachan tantra sahi se kam karna band kar deta hai. Aese mai iodine yukt namak ki badle aapko sendha namak khana chahiye. Yeh namak sharir se sabhi vishakt padartho aur apshisht utpado ko kam karne mai sendha namak aapko madad karta hai. Yeh hamare sharir mai rechak ke rup mai kam kar mal ko nam kar aasani se parit karne mai madad karta hai. Sath hi kabj se bhi rahat dilate hai. Iske upyog ke liye 1 cup garm pani mai 1 se 2 chammach sendha namak dalkar din mai ek bar khali pet jarur pina chahiye. Lekin dhyan rahe sendha namak ki adhik matra lene se yeh pet mai jalan, matli, dast, ulti sahit kai aur side effect paida kar sakta hai. Isliye iski uchit matra hi lena chahiye. Sahi parinam ke liye chikitsak ke paramarshanusar hi lena chahiye. Iske alava sendha namak dale halke gungune pani se snan karne se bhi water retention aur pet ki sujan mai aaram milta hai. Hriday Ke Liye Faydemand Sendha namak hamare dil ke swasth aur Heart Health ke liye bhi bahut accha hota hai. Isme upasthit magnesium ki matra hamare dil ki samanya gati aur dhamaniyo ko swasth banaye rakhne mai madad karta hai. Sharir mai dil ki dhamaniyo ke sahi rehne se khun ke thakke jamna, plock ka banna, dhamaniyo ki diwaro ka nuksan hone ka khatra bhi kam ho jata hai. hrelate.com
Dard Dur Karne Mai Sahayak Iske alava sendha namak ka sevan hamare sharir ke rakt parisancharan mai sudhar karta hai jisse hamare hriday, dil ke rog aur stroke ka khatra bhi kam hota hai. Iske upyog ke liye sendha namak ke pani se rojana 3 saftah tak snan kare. Aesa karne se dil ka swasth sahi rehta hai aur dil ka doura padne ka khatra kam ho jata hai. Dard Dur Karne Mai Sahayak Sendha namak ka prayog sharir ke dard aur sujan ko kam karne mai kiya jata hai. Isme upasthit magnesium hamare sharir ke PH level ko banaye rakhta hai. Iske alava yeh gathiya rog mai hone wali jakdan, sujan aur dard ko kam karne mai bhi madad karta hai. Iske alava yeh hamare tantrika tantra ko majbut karta hai jisse sar dard aur tanav se rahat milti hai. Iske upyog ke liye gungune pani mai 2 chammach sendha namak mila le. Fir sharir ke dard wale bhag ko 20 se 30 minute ke liye gungune pani mai dalkar rakhe. Ise hafte mai 3 bar karne se dard se jald aaram milta hai. Baalo Ke Liye Faydemand Baalo ko swasth aur sundar banaye rakhne mai bhi sendha namak ka bahut bada yogdan rehta hai. Iske sath hi yeh baalo ki jado se atirikt tel ko nikalne aur jado ko majbut karne mai madad karta hai. Iske alava sendha namak baalo ki samasyao jaise patle baal, domuhe baal, baalo ka jharna aur teliya baal aadi samasyao ko dur karne mai madad karta hai. hrelate.com
Twacha Ki Kare Sahi Dekhbhal Sendha namak mai kai prakar ke minerals hote hai jo ki kshatigrast baalo ki marammat kar unki sahi tarah se dekhbhal karne mai sahayak hote hai. Iske upyog ke liye sabse pehle iska hair mask taiyar kiya jata hai aur fir ise baalo par lagaya jata hai. Iska mask taiyar karne ke liye sendha namak aur deep conditions ko barabar matra mai milakar iska paste bana le. Fir iss paste ko baalo mai 15 se 20 minute tak ke liye lagakar chhod de. Iske bad ise thande pani se dho le. Aesa hafte mai sirf 1 hi bar kare. Twacha Ki Kare Sahi Dekhbhal Aajkal har koi apni twacha ko sundar aur chamakdar rakhna chahta hai. Iske liye hafte mai 2 ya 3 bar twacha ka exfoliate karna jaruri hota hai. Aesa karne se twacha ki sabhi mrit koshikaye bahar nikal jati hai aur twacha ke romchhidro se bhi tel bahar nikal jata hai. Iske alava twacha mai hone wali kai prakar ki samasyao jaise khujali, blackheads, aur muhaso se bhi nijad dilane mai sendha namak madadgar hota hai.Iska upyog karne ke liye sendha namak ka upyog kiya jata hai. Mrit twacha ko hatane ke liye 1 mutthi sendha namak ko le aur use apni twacha par ragde. Fir gungune pani se ise saaf kar le. Iske alava 1 mutthi sendha namak ko lekar usme 1 bade chammach olive oil ko milaye. Iss prakar bane paste ko gili twacha par acche se exfoliate kare aur gungune pani se dho le. Iss upaye ko har hafte karne se twacha ko swasth, chikni aur mulayam banane mai madad milti hai. hrelate.com
Epsom Salt in Hindi: Sendha Namak Ke Aur Fayde Inhe Bhi Padhe Rojana sendha namak ka sevan karne se anidra ki samasya se chutkara paya ja sakta hai. Sharir mai sharkara ki matra ko niyantrit karne mai bhi sendha namak sahayak hota hai jo ki madhumeh se grasit rogiyo ke liye faydemand hota hai. Sendha namak ka sevan karne se sinus aur maspeshiyo mai aethan ki samasya dur hoti hai. Pani ke sath sendha namak ko milakar pine se raktchap ko niyantrit kiya ja sakta hai. Dama rogiyo ke liye bhi sednha namak bahut faydemand hota hai. Iske sevan se sharir mai pachak raso ka nirman hota hai jisse khana jaldi pach jata hai jisse vajan ko niyantrit karne mai madad milti hai. Sendha namak ke sevan se sharir ka cholesterol kam ho jata hai jisse ucch raktchap aur dil ki aniymit gati ko niyantrit kiya ja sakta hai. Pitt ki pathri aur mutrapind ko rokne mai bhi sendha namak madad karta hai. Sendha namak sharir mai khun ki kami ko pura karne mai madad karta hai jisse anemia ke khatre se bacha ja sakta hai. hrelate.com