Thumb Pain: Janiye Anguthe ke Dard ka Treatment aur Causes HRELATE.COM
Thumb Pain Anguthe ka dard mashpeshiyo, jodo, haddiyo, naso, rakt vahikao, nakhoon, sanyoji utak ya twacha me chot ya nuksan ke karan hota hai. Aaiye jane ki anguthe me dard aur kin karno se hota hai aur iske ilaj ke kya kya upay hai. hrelate.com
Thumb Pain Causes: Janiye Anguthe me Dard ka Karan Anguthe me dard kai karano se ho sakta hai. Isme chot, infection, neuromuscular samasyae, anguthe me rakt pravah ki kami se hone wali bimari, rogo ke karan chhot aadi shamil hai. Paridhiya neuropathy aur diabetes ke karan bhi anguthe me dard, jalan aur jhunjhunahat hone lagti hai. Aaiye jante hai aur adhik karan: hrelate.com
Ghav ke Karan Anguthe me ya tantrikao me chhot ke karan anguthe me dard hone lagta hai. Isme bahut sari baate shamil hoti hai. Kide ke dank ya katne ki vajah se chhot lagna. Anguthe par burns. Haddiyo ka tutna. Anguthe ka ati prayog ke karan chot. Moch ya khichav. Tendon ka tutna. hrelate.com
Sujan ke Karan Anguthe me dard arthritis ya infection ke karan aane wali sujan se hota hai. Dard ek ya dono anguthe ya thode se hisse me anubhav ho sakta hai. Iska dard inn karao me shamil hai. Osteoarthritis Rheumatoid arthritis Gout arthritis Rashes Cellulite Phoda hrelate.com
Neuromuscular Karan Kai prakar ke muscular aur nervous ki samasyao ke karan sabhi anguthe me dard ho sakta hai. Isme nimnalikhit karan shamil hai. • Masthishk ka lakwa • Carpal Tunnel Syndrome • Dermatomyositis hrelate.com
Anya Karan Anguthe me dard purani bimariyo ke karan bhi ho sakta hai, isme nimnalikhit karan shamil hote hai. Jese: Ghatak ya saumya tumor paridhiya dhamni rog Blood clot Rakt vahika ki sujan Diabetes Kshanik Ischaemic attack hrelate.com
Thumb Pain Treatment Khud ki dekhbhal kare Gatividhi ka sanshodhan Physical therapy Medicine ka upyog kare Splint hrelate.com