HRELATE.COM Dry Fruits Benefits -Sukhe Meve Se Rakhe Sehat Ka Khayal
Dry fruits yane ki “sukhe meve” dikhane mai to chote lekin sehat se bharpur hote hai. Har diet specialist aapko rojana mutthi bhar dry fruits khane ki salah dete hai. Yeh hamare dimag aur sharir ke liye tonic ki tarah kaam karte hai, jinse hamara sharir swasth aur takadwar hota hai. Sukhe meve bahut tarha ke hote hai jaise ki kishmish (raisins), kaju (cashew nuts), baadam (almonds), pista(pistachios), akhrot (walnuts), pin khajur(dates) aur bhi kai. Protein se bharpur Sukhe mevo mai fiber, phytonutrients aur anti-oxidant jaise ki Vitamin E aur Selenium ki bharpur matra hoti hai. Yeh taste mai to itne khas nahi hote, lekin inse hone wale labh ke karan yeh bahut mahange milte hai. Iss article mai hum aapko sukhe meve ke labh yani ki Dry Fruits Benefits in Hindi mai batayenge. hrelate.com
Janiye Kis Dry Fruits Khane ke Kya Hai Labh Sehat Se Bhare Badam(Almonds) Badam ki baat kare to isse hemoglobin badane mai bahut prabhavi mana jata hai. Badam hamare sharir mai new blood cells ko banane aur hemoglobin ki level ko badane mai madad karta hai. Yeh na keval portein aur fiber mai sammpurn hote hai, balki inme bahut sara calcium, antioxidant aur vitamin E bhi hota hai. Isse khane se dant aur haddiyo mai takat aati hai. Aur fiber hone ki wajah se ye heart ke liye bhi accha mana jata hai. Dryfruit King Kaju (Cashew Nuts) Kaju ko dry fruits ka raja kaha jata hai. Isse khane se sharir mai takat aati hai. Kaju ko protein, minerals salt, zink, iron, fiber aur magnesium ka accha strot mana jata hai. Kaju ka sevan sharir ko urja dene ke saath kai aur bimariyo se hamari rakhsha karta hai. Aadhe mutthi kaju mai 374 calories, 31 gram vasa, 10 gram protein, vitamin E, vitamin K aur vitamin 6 hota hai. Lekin aapko isse bahut jyada nahi khana hai. Isse aapko khansi bhi ho sakti hai. Iske alawa isse jyada khane ne acidity ki dikkat bhi hoti hai.
hrelate.com Piste se Rakhe Dil ka khayal (Pistachio) Mitai aur snacks mai istemal hone wala Pista, swasth ke liye bahut accha hota hai. Piste mai magnesium, copper, phosphorous aur vitamin B hota hai. Iske sevan se cholesterol aur heart attack se bacha ja sakta hai. Dieting kar rahi mahilao ke liye pista faydemand hota hai. Kyoki isse pet jyada der tak bhara rehta hai. Akhrot(Walnuts) Akhrot mai mojud fat aur postik tatva sharir mai insulin ki matra ko santulit rakhne mai sahayak hote hai. Eczema aur Asthma rogiyo ke liye Akhrot khana faydemand hota hai. Yeh sehat se bharpur hai yeh baat to kai log jante hai, lekin yeh bahut kam log jante honge ki isse niyamit tour par lene se, rogiyo mai Dil ki bimari ki aashanka kam ho jati hai. Agar aapko anindra ki samsaya hai to iska sevan jarur kare. Alzheimer Mai Faydemand Kishmish (Raisins) Kishmish ke sevan se pet ka kabj dur hoti hai. Isse ek badiya antioxidant mana jata hai, jo stamina badhata hai. Yeh Alzheimer jaisi ghambhir bimari se rahat dilane mai bhi upyogi sabit huyi hai. Alzheimer ko bhulne wala rog bhi kehte hai. Iske karan aapki yaadast kamjor hoti hai. Aap bhulne lagte hai. BP, sugar ya fir sir mai kai baar chot lagne se aapko yeh dikkat hone lagti hai. Iske alawa Kishmish khane se vayu dosh aur cough ki bhi samasya dur hoti hai. Kyoki isme bahut sara iron hota hai. Durbal logo ke liye iska rojana sevan bahut hitkari hai.
hrelate.com Anjir (Figs) Sukhi Anjir bhuk ko niyantrit rakhne mai sahayak hoti hai. Isme fiber aur potassium ki matra jyada hoti hai. Mote logo ko sukhi anjir ka sevan karna chahiye. Yeh unka vajan kam karne mai bhi sahayak hoti hai.Anjir ke sevan se Anemia, jukham, kamar dard, sirdard, bavasir(piles) aadi rog dur hote hai aur sharir mai takat aati hai. Anjir mai calcium bahut hota hai, jo ki haddiyo ko majbud karne mai sahayak hai. Khayal rahe ki Anjir ka sevan jigar ke liye hanikarak hota ho sakta hai. Yeh garam hoti hai, isliye isse 5 dane se jyada naa khaye. Khubani (Apricots) Sukhi khubani ka sevan pyas aur cough mai faydemand hai. Isme Vitamin A, B complex aur C ki prachurata hoti hai, jo aankho aur prajnan shamta ke liye faydemand hota hai. Peanuts (Mungphali) Peanuts mai protein ki matra bharpur hoti hai. Isme antioxidant bhi hote hai. Aur shayad hi aapko pata hoga ki 100 gram kacchi mungfali mai 1 litre dudh ke barabar protein hota hai. Saath hi mungfali pachan shakti badane mai bhi karagar hai.Jise asthma ki dikkat ho wo 6 months tak Peanuts na khaye. Peanuts garm hote hai. Jyada khane se aapko garmi ki sikayat ho sakti hai. Aap inhe dabbe mai band karke freeze mai bhi rakh sakte hai. Aese mai yeh 6 mahine tak bhi kharab nahi hote.
hrelate.com Bhigokar Khane se Jyada labh Sukhe meve shakti vardhak hote hai, yeh to aapko pata chal gaya. Aapne dekha hoga ki kuch mevo ko bhigakar rakhte hai, fir uska sevan karte hai. Lekin aapko yeh nahi pata hoga ki iske piche ka karan kya hai? Darahsal Anaj ki tarah mevo mai bhi Phytic acid paya jata hai. Agar meve ko bina bhigaye khaya jaye to usme mojud acid usse thik se pachne nahi deta. Mevo ko kuch ghante bhiga ke khane se usme se acid nikal jata hai, aur moujuda enzyme beasar ho jata hai. Jisse wo aasani se pach jata hai. Aesa karne se meve mai mojud vitamins aur poshak tatva bhi sharir dwara aasani se grahan kar liye jata hai.