Download presentation
Presentation is loading. Please wait.
Published byDorthy Turner Modified over 8 years ago
1
HRELATE.COM Fat Loss Tips in Hindi: Jane Charbi Ghatane Ke Aasan Tarike
2
Aajkal har koi slim body pane ke liye bahut kuch karte hai jaise gym jana, vyayam karna aur khana kam karna. Lekin kya aap jante hai ki sirf khana kam karne aur vyayam karne s evanajn kam nhi hota hai, balki khana kam karne se vyaktiyo ka vajan aur badh jata hai. Darahsal jab vyakti motapa kam karne ke liye khana kam karta hai to wo patla to ho jata hai lekin jab vyakti bad mai apni purani diet mai aata hai to aachanak se motapa badhna shuru ho jata hai. Aajkal ke galat aur teliya yukt khan-pan, din bhar baithkar kam karne ki wajeh se sharir ka motapa aur badhne lagta hai. Aese mai vyaktiyo ko apne aaharo ko kam karne ki bajay yeh janna jaruri hai ki aese koun se tips hai jinse vajan ko kam kiya ja sakta hai? Yeh janne ke liye aaiye aaj iss article mai jane Fat Loss Tips in Hindi. Jab bhi vyakti bahar ke junk food aur khadya padartho ka sevan karte hai to inme mila hua fat sharir mai jamne lagta hai aur dhire-dhire charbi ko badhana shuru kar deta hai. Iss jame huye fat aur toxins ko sharir se bahar nikalne ke liye kai prakar ke tips hote hai jaise niyamit aur uchit khan-pan, vyayam, yoga aadi. Inn sabhi tips ki madad se sharie ke fat ko aasani se kam kiya ja sakta hai. To aaiye padhe Fat Loss Tips. hrelate.com
4
Fat Loss Tips in Hindi: Inn Tariko Se Kam Kare Sharir Ka Fat Pey Yukt Padart Apne sharir ki charbi ko kam karne ke liye sabse jaruri hota hai pey yukt padarth jaise pani, nimbu pani, green tea, loki ka juice aadi. To aaiye jane fat loss drinks Sharir ki charbi ko kam karne ke liye hame khub pani pine ki jarurat hoti hai. Pani sharir se fat ko kam karne, apshisht padartho ko galane aur toxins ko bahar nikalne mai madad karta hai. Rojana subah khali pet 1 glass nimbu pani aur 1 chammach shahad ko milakar pine se sharir mai jama hua fat kam hone lagta hai. Canberry mai mujud vitamin C aur antioxidant gun sharir se fat ko jalane mai madad karte hai. Iske sevan ke liye canberry ke juice mai nimbu ka ras aur sirka milakar pina chahiye. Rojana chay ki jagah green tea pine se sharir ki charbi ko kam kiya ja sakta hai. Isme mojud flavonoids sharir mai mojud toxins aur fat ko jalane mai madad karta hai sath hi yeh pet ki jwalansheelta ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.
5
hrelate.com Khadya Padarth Ke Sevan Se Fat ko kam karne ke liye kahne ki matra ko kam karne ki bajay hame aese aahao ka sevan karna chahiye jo ki fat ko kam karne mai sahayak hote hai. To aaiye jane fat loss foods. Fiber vasa ko galane mai madad karta hai isliye sharir se charbi ko kam karne ke liye fiber yukt bhojan ka sevan karna chahiye. Badam mai mojud Polyunsaturated aur Monounsaturated fat sharir ko overeating se bachane mai madad karta hai. Iske sath hi isme mojud fiber lambe samay tak bhuk ko lagne nahi deta hai. Tamatar mai mojud 9-oxa-ODA namak yogik khun se lipid aur fat ko kam karne mai sahayak hota hai. Isliye tamatar ka sevan charbi ko kam karne mai madadgar hota hai. Kheere mai mojud 96% pani sharir se fat ko kam karne mai sahayak hota hai. Iske alava, ubli hui sabjiya, ajvain aadi ka sevan sharir se charbi ko kam karne mai sahayak hota hai. Niyamit Dincharya Sharir se charbi ko kam karne ke liye apni dincharya ko niymit rup se sahi banana jaruri hota hai. Sahi samay par khana, nashta, dinner aur sahi aahar bhi fat ko kam karne mai madad karte hai.
6
hrelate.com Inn Falo Ke Sevan Se Fal hamari sehat ke liye bahut hi faydemand hote hai. Kuch aese fal bhi hote hai jo ki charbi ko kam karne mai sahayak hote hai to aaoiye jane a Fat loss fruits. Tarbuj ka sevan kare. Isme mojud 91% pani, Vitamin B1, B6 aur C aur jaruri minerals jaise potassium aur megnecium sharir ke fat ko kam karne mai madad karte hai. Seb (aaple) mai ucch matra mai mojud fiber, footstool, flavonoids aur beta-carotene sharir se badhi hui charbi ko kam karne mai sahayak hote hai. Iske sath hi isme pectin namak tatv bhi hota hai jo ki vajan ko kam karne mai madad karta hai. Anannas mai brome lane namak enzyme hota hai jo ki pet ko slim or flat banana mai madad karta hai. Masalo Ke Sevan Se Masalo mai dalchini ka prayog sharir se extra fat ko kam karne mai madad karta hai. Ise rojana subah 1 glass pani mai 1 chammach shahad ke sath pine se sharir se fat kam karne mai madad milti hai. Iske alava pudine ke patte, kali mirch bhi faydemand hote hai.
7
hrelate.com Niyamit Kasrat Rojana kisi bhi prakar ki kasrat bhi swasth aur fit body ke liye accha hota hai. Isse sharir ka rakt sanchran, sahi rehta hai aur vasa ko kam karne mai bhi madad milti hai. Isliye rojana 30 minute ki kasrat jarur kare. Parhej Bhi Hai Jaruri Parhej ki bat ka matlab yeh nahi ki ham apne khane pine mai parhej kar de balki hame apne jyada teliya yukt, fast food aur bahar ke khane se parhej karna chahiye. Vyayam Kare Vyayam hamare sharir se atirikt charbi ko kam karne ke sath-sath swasth ke liye bhi accha hota hai. Isliye rojana vyayam ko hame apni niyamit dincharya mai shamil karna chahiye. Charbi ko kam karne ke liye hame koun-koun se vyayam karna chahiye iske liye yaha padhe Exercise for Weight Loss. Yoga Bhi Hai Faydemand Yoga na keval hamare swasth ko behtar banane mai madad karta hai balki vajan aur sharir ki badhi hui charbi ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.
Similar presentations
© 2025 SlidePlayer.com. Inc.
All rights reserved.