Presentation is loading. Please wait.

Presentation is loading. Please wait.

Improve Eyesight Naturally, Swasth Aankhon ka Raaz HRELATE.COM.

Similar presentations


Presentation on theme: "Improve Eyesight Naturally, Swasth Aankhon ka Raaz HRELATE.COM."— Presentation transcript:

1 Improve Eyesight Naturally, Swasth Aankhon ka Raaz HRELATE.COM

2 Improve Eyesight Naturally Manav sharir me aankhon ka bahut mahatva hota hai. Yeh baat bahut jaruri hai ki, hum iski dekhbhal sahi roop se kare varna agar yeh kharab ho gayi to aap jindagi bhar ke liye andhe ho jayenge. Vese aankhon ko nirogi aur swasth rakhna bahut jaruri hota hai. Par phir bhi bahut se aise log bhi hai, jo body building karke sharir ko to balvaan bana lete hai, magar aankhen kharab hone se nahi bacha pate hai. To chaliye hum aapko batate hai, Improve Eyesight Naturally ke Behatrin tips. hrelate.com

3 Hari Pattedar Sabjiya Palak ka saag, patta gobhi tatha hari pattedar sabjiya me carotenoid paya jata hai, jo peele rang ka padarth hota hai aur yeh macula (retina ka area, jo ki central vision ke liye jimmedar hota hai) ko bachata hai. Isliye jitna ho sake inn sabjiyo ka sevan karke swasth rahiye. To hum bol sakte hai ki, Tips to Improve Eyesight me sabjiyo ki bahut aham bhumika hai. hrelate.com

4 Vitamin A, C aur E Wale Aahar Aise phalo aur sabjiya jinme adhik matra me Vitamin A, C aur beta carotene shamil hota hai. Unhe apni diet me shamil kijiye. Peele rang ki sabjiya hume din ko roshani me theek se dekhne ki kshamta deti hai. hrelate.com

5 Lahasun aut Pyaz Lahasun aur pyaz me sulfur bhari matra me paya jata hai, jo ki aankho ke liye antioxidant paida karta hai. Isliye jaha tak ho sake aapne aahar mai in ko shamil kijiye. hrelate.com

6 Dry Fruit Improve Eyesight Naturally ki baat kare to dry fruit ka naam sabse pahle aata hai. Dry fruit khane se high Vitamin milta hai. Jo ko cholesterol ko low rakhta hai aur cellular membrane me isthirta banaye rakhta hai. Saath hi yeh liver mai se Vitamin A ko aankhon ke prayog ke liye bahar nikalta hai. hrelate.com

7 Dairy Product Dudh, butter, malai cheese aur paneer aadi me vitamin A ki acchi matra hoti hai. Yadi aankon me Vitamin A ki matra ki kami ho jaye to aankhon se raat ke samay dhundla dikhai deta hai. Iski kami aapko andha tak bana deti hai. hrelate.com

8 Triphala Triphala ek bahut acchi ayurvedic medicine hai. Yeh aankhon ki roshni ko badane ke liye bahut accha mana jata hai. Saath hi aankhon ki kisi bhi tarah ki pareshani ko kam karne ke liye bhi bahut maddgar hota hai. Isko raat bhar pani me gaal dijiye. Fir agli subah is pani ko chhan lijiye aur iss pani se aankho ko dhoiye. hrelate.com

9 Almond and Fennel Seeds Almond and Fennel Seeds Yeh dono hi bahut asardaar cheez hai aapki eyesight ko badane ke liye. Iske liye aap barabar matra me almond and fennel seeds aur sugar ko acche se pis kar powder bana lijiye. Ab is powder ki 10 gram matra ko 250 ml dudh ke saath roz raat mai sevan kijiye. Iska sevan 40 din tak rozana kare jisse ko aapko bahut laabh milenga. hrelate.com


Download ppt "Improve Eyesight Naturally, Swasth Aankhon ka Raaz HRELATE.COM."

Similar presentations


Ads by Google