Download presentation
Presentation is loading. Please wait.
Published byFrancine Parrish Modified over 8 years ago
1
HRELATE.COM Home Remedies for Hives: Paiye Aasan Treatment Ghar Par
2
Home Remedies for Hives Ayurveda ke anusar Hives jise English mai Urticaria bhi bolte hai. Yeh rog vaat ya cough dosh ki gadbadi ki wajah se hota hai. Yeh ek prakar ki allergy hai, jiski wajah se twacha par laal rang ke chhakte pad jate hai, jisse pitti kehte hai. To aaiye jante hai iss samasya se bachne ke liye aasan Home Remedies for Hives. Urticaria latin shabd se bana hai, urtica matlab nettle aur urere matlab burn hai. Isme aapko skin rash, itchy bumps ki pareshani jhelni padti hai. Hives ek jalti hui ya chubhne wali sansani paida kar sakta hai. hrelate.com
3
Isme kafi tezi ke saath khujali hoti hai au rise khujalne ya ragadne se adhik khujali uthati hai. Shittpitt kai karano se ho sakta hai jese chikitsa, tanav, viral sankraman, thand, surya roshni, dhul, parag, rusi, shankh aur anya khadya. Jinhe yeh bimari hai unhe bhojan mai namak, tel, mirch, achar, dahi tatha jin khadya padartho se allergy ho uska sevan nahi karna chahiye. To aaiye jante hai iske liye aasan aur saral gharelu upchar, jinka prayog karne se hives ka khatma kiya ja sakta hai. hrelate.com
4
Hives Causes: Janiye Iss Allergy ke Mukhya Karan Drug-induced Infection aur environmental agent Dermatographic urticaria Pressure aur delayed pressure Cholinergic aur stress Cold-induced Solar urticaria Water-induced hrelate.com
5
Home Remedies for Hives: Kuch Aasan Gharelu Upchar ke Dwara Dur Kare Isko Haldi: 1 glass gungune dudh ya pani mai aadha chhota chammach haldi powder mila kar din mai 2 ya 3 bara piye. Ya phir 3 gm haldi powder din mai 2 bara sevan kare. Isse Urticaria ki problem jald hi thik ho jati hai.Urticaria Tulsi: Tulsi ki patti ki chai bana kar pine se khoon shuddh hota hai aur sharir se gandagi nikalti hai. Gular ka Ras: Gular ki pattiyo ka 15 ml ras nikal kar kai dino tak sevan kare aur swasth rahe. Yeh aapke liye bahut hi faydemand ho sakti hai. hrelate.com
6
Pudine ki Chai: Pudine ki pattiyo ki chai bana kar pine se khujali mai rahat milti hai aur aapka tann accha rehta hai. Arandi ka Tel: 5 bunde arandi ke tel ko dudh ya pani mai daal kar khali pet piye. Isse aapko kafi had tak fayda milega. Aloevera Gel: Pitti par taaza aloevera gel lagane se jalan aur khujali dur hoti hai kyuki yeh thandak ka ahsaas dilata hai. Taaza Juice Piye: Skin AllergySkin Allergy dur karne ke liye dher sara taaze phalo ka ras pina chahiye. Isse aap jaldi thik jayege. hrelate.com
7
Oatmeal: 2 tea spoon oatmeal ke saath aadha cup pani milaye. Jab oatmeal sara pani sokh le, tab is eek saaf kapde mai nikal le. Phir oatmeal par dhire-dhire aadha cup pani dalte huye iss pani ko ek mug mai ikkatha kar le. Iss pani ko apni twacha par acchi tarah se lagaye jisse khujali aur dikkat kam ho jaye. Baking Soda: Ek cup mai 2 chammach baking soda le aur pani mila kar paste banaye. Iss lep ko khujali se aaram pane ke liye aur khich ko rokne ke liye pitti prabhavit ksetra par lagaye. Kali Mirch: Kali mirch piskar ghee mai milakar chatne se shitt pitt mai aaram milta hai. Sirka: Ek chammach apple cider vinegar le aur use utni hi matra ke pani mai milaye. Ise prabhavit kshetra par thoda sa lagaye. Isse aapko aaram milega. hrelate.com
8
Brown Sugar aur Adrak: Aadha cup brown sugar le kar usme 1 chammach pisi adrak paste aur 3 cup apple cider vinegar mila kar kuch minute tak ubale. Iss mishran mai thoda sa garam pani milaye aur din mai kai baar iss padarth ko lagaye. Macchli ka Tel: 1000 mg macchli ke tel ka capsule din mai 3 baar le. Yeh capsule fat amal ka source hai jisme sujan virodhi gun hota hai. Thande pani ki maccliyo jese blue fish, salmon aur albacore tuna accha source hai. Gud: Gud ke saath haldi bhunkar khane se hives aur khujali mai bahut aaram milta hai. hrelate.com
Similar presentations
© 2024 SlidePlayer.com. Inc.
All rights reserved.